ji mein jab himmat na ho ji se guzar jaana bhala
jī meñ jab himmat na ho jī se guzar jaanā bhalā
har ghaḌī mar-mar ke jiine se to mar jaanā bhalā
sabr ban aa.e na jis se zahmat-e-tadbīr par
is faromāya jasārat se to Dar jaanā bhalā
husn-e-ḳhū se un ke dil meñ raah paidā kījiye
un ke dar par sar paTakne se to ghar jaanā bhalā
yaad haiñ ham ko kiye ham ne jo va.ade nafs se
aise va.ade kar ke va.adoñ se mukar jaanā bhalā
dard insāñ kā na ho dil meñ to dil ḳhuuñ kījiye
sar jhuke insāñ ke aage is se sar jaanā bhalā
shar hī kiije shar se bhī phūTe haiñ chashme ḳhair ke
kuchh na karne se yahāñ kuchh kaam kar jaanā bhalā
shāyad ai 'mohsin' hamārī hadd-e-jaulāñ hai yahī
aur kuchh baḌhne kī koshish se Thahar jaanā bhalā
ji mein jab himmat na ho ji se guzar jaana bhala
har ghaDi mar-mar ke jine se to mar jaana bhala
sabr ban aae na jis se zahmat-e-tadbir par
is faromaya jasarat se to Dar jaana bhala
husn-e-KHu se un ke dil mein rah paida kijiye
un ke dar par sar paTakne se to ghar jaana bhala
yaad hain hum ko kiye hum ne jo wade nafs se
aise wade kar ke wadon se mukar jaana bhala
dard insan ka na ho dil mein to dil KHun kijiye
sar jhuke insan ke aage is se sar jaana bhala
shar hi kije shar se bhi phuTe hain chashme KHair ke
kuchh na karne se yahan kuchh kaam kar jaana bhala
shayad ai 'mohsin' hamari hadd-e-jaulan hai yahi
aur kuchh baDhne ki koshish se Thahar jaana bhala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.