ji nahin lagta kitabon mein kitaben kya karen
ji nahin lagta kitabon mein kitaben kya karen
Basheer Ahmad Basheer
MORE BYBasheer Ahmad Basheer
jī nahīñ lagtā kitāboñ meñ kitābeñ kyā kareñ
kyā paḌheñ paḌh kar bujhī be-nūr satreñ kyā kareñ
kuchh ajab hālat hai ai dil kuchh samajh aatā nahīñ
so raheñ ghar jā ke yā galiyoñ meñ ghūmeñ kyā kareñ
vāsta patthar se paḌ jaa.e jahāñ sochūñ vahāñ
kyā kareñ zor-e-bayāñ qalameñ davāteñ kyā kareñ
aisī yaḳh-basta havā meñ koñpleñ phūTeñgī kyaa?
bārishoñ kī aarzū be-barg shāḳheñ kyā kareñ
ho ga.ī daldal zamīñ dhañste hī rah jaate haiñ yaañ
kyā kareñ mohkam binā.eñ surḳh īñTeñ kyā kareñ
shaam Dhalte hī ye aalam hai to kyā jaane bashīr
haal apnā sub.h tak be-rabt nabzeñ kyā kareñ
ji nahin lagta kitabon mein kitaben kya karen
kya paDhen paDh kar bujhi be-nur satren kya karen
kuchh ajab haalat hai ai dil kuchh samajh aata nahin
so rahen ghar ja ke ya galiyon mein ghumen kya karen
wasta patthar se paD jae jahan sochun wahan
kya karen zor-e-bayan qalamen dawaten kya karen
aisi yaKH-basta hawa mein konplen phuTengi kya?
barishon ki aarzu be-barg shaKHen kya karen
ho gai daldal zamin dhanste hi rah jate hain yan
kya karen mohkam binaen surKH inTen kya karen
sham Dhalte hi ye aalam hai to kya jaane bashir
haal apna subh tak be-rabt nabzen kya karen
- Book : Pakistani Adab (Pg. 374)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.