ji raha hun Thik bhi hun aap ki hi main bala se
jī rahā huuñ Thiik bhī huuñ aap kī hī maiñ balā se
dard mujh ko mil rahe haiñ aap kī hī bas duā se
haal merā jo huā hai hai mohabbat kā natīja
Thiik to honā nahīñ hai ab ye kaisī bhī davā se
tū kahānī aur koī likh de nā hisse meñ mere
jī mirā uktā gayā hai yā ḳhudā ab is kathā se
gar milānā hī nahīñ thā to milāyā kyoñ hameñ phir
maiñ ne to is baat pe kar lenā hai jhagḌā ḳhudā se
zulf ko us kī nā chheḌo mat karo us ko pareshāñ
iltijā ye roz hī kartā huuñ maiñ zālim havā se
ji raha hun Thik bhi hun aap ki hi main bala se
dard mujh ko mil rahe hain aap ki hi bas dua se
haal mera jo hua hai hai mohabbat ka natija
Thik to hona nahin hai ab ye kaisi bhi dawa se
tu kahani aur koi likh de na hisse mein mere
ji mera ukta gaya hai ya KHuda ab is katha se
gar milana hi nahin tha to milaya kyon hamein phir
main ne to is baat pe kar lena hai jhagDa KHuda se
zulf ko us ki na chheDo mat karo us ko pareshan
iltija ye roz hi karta hun main zalim hawa se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.