ji raha hun waswason ke darmiyan
jī rahā huuñ vasvasoñ ke darmiyāñ
dam-kashīda sā.atoñ ke darmiyāñ
bā-amal dekhe haiñ kitne tang-dast
be-amal in vā.izoñ ke darmiyāñ
be-samar hī ab shajar kumhlā.egā
shak ugā hai chāhatoñ ke darmiyāñ
maiñ ne hikmat se nikālā hai janāb
ek rasta rāstoñ ke darmiyāñ
mujh ko detī hai sadā.eñ rāt-din
ek vahshat sāhiloñ ke darmiyāñ
daad mere hausle kī dījiye
rah rahā huuñ kūfiyoñ ke darmiyāñ
dostoñ ke saath 'safdar' is tarah
jaise kāfir mominoñ ke darmiyāñ
ji raha hun waswason ke darmiyan
dam-kashida saaton ke darmiyan
ba-amal dekhe hain kitne tang-dast
be-amal in waizon ke darmiyan
be-samar hi ab shajar kumhlaega
shak uga hai chahaton ke darmiyan
main ne hikmat se nikala hai janab
ek rasta raston ke darmiyan
mujh ko deti hai sadaen raat-din
ek wahshat sahilon ke darmiyan
dad mere hausle ki dijiye
rah raha hun kufiyon ke darmiyan
doston ke sath 'safdar' is tarah
jaise kafir mominon ke darmiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.