ji rahe hain is jahan mein ek lashe ki tarah
jī rahe haiñ is jahāñ meñ ek lāshe kī tarah
log ham ko dekhte haiñ ab tamāshe kī tarah
yuuñ mohabbat ke taqāze ham nibhāte hī rahe
ārzūoñ ko uThāyā hai janāze kī tarah
dushmanoñ se baḌh ke apnoñ ne kiye itne sitam
ḳhauf taarī ho gayā kāñpe haiñ saa.e kī tarah
apnī manzil se bichhaḌ ke ham ne ab ye tai kiyā
bhuul jā.eñge tujhe bhī tere vā'de kī tarah
zindagī ke gulsitāñ meñ ro paḌī aa kar 'bahār'
āñsuoñ ko phir lagāyā us ne ġhāze kī tarah
ji rahe hain is jahan mein ek lashe ki tarah
log hum ko dekhte hain ab tamashe ki tarah
yun mohabbat ke taqaze hum nibhate hi rahe
aarzuon ko uThaya hai janaze ki tarah
dushmanon se baDh ke apnon ne kiye itne sitam
KHauf tari ho gaya kanpe hain sae ki tarah
apni manzil se bichhaD ke hum ne ab ye tai kiya
bhul jaenge tujhe bhi tere wa'de ki tarah
zindagi ke gulsitan mein ro paDi aa kar 'bahaar'
aansuon ko phir lagaya us ne ghaze ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.