ji to halka hua hai rone se
jī to halkā huā hai rone se
par hai Dartā kisī ko khone se
ham to be-maut mar hī jā.eñge
terī yādoñ se haath dhone se
ab bhulā duuñ ye chāhtā huuñ unheñ
ḳhvāb dekhe the jo salone se
sang-dil mom ho gayā hai miyāñ
aaj ik bevafā ke rone se
chāhtā huuñ ke 'ishq paidā ho
biij chāhat kā dil meñ bone se
zindagī-bhar kī uḌ ga.iiñ nīñdeñ
aaj ik rāt-bhar ke sone se
ḳhuub the jab judā judā the ham
kyā milā ham ko ek hone se
un kī mahfil pe kyā asar hai 'naqī'
mere hone se yā na hone se
ji to halka hua hai rone se
par hai Darta kisi ko khone se
hum to be-maut mar hi jaenge
teri yaadon se hath dhone se
ab bhula dun ye chahta hun unhen
KHwab dekhe the jo salone se
sang-dil mom ho gaya hai miyan
aaj ek bewafa ke rone se
chahta hun ke 'ishq paida ho
bij chahat ka dil mein bone se
zindagi-bhar ki uD gain ninden
aaj ek raat-bhar ke sone se
KHub the jab juda juda the hum
kya mila hum ko ek hone se
un ki mahfil pe kya asar hai 'naqi'
mere hone se ya na hone se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.