jina agar zarurat hai
jiinā agar zarūrat hai
marnā talḳh haqīqat hai
saare sapne bāġhī hai
apnī apnī qismat hai
kitnī ġhazleñ kahtā huuñ
sab zaḳhmoñ kī shiddat hai
itnī us kī tanhā.ī
jitnī jis meñ himmat hai
ḳhud se milne bhī aa.e
kis ko itnī fursat hai
tanhā.ī meñ mere saath
dīvāreñ haiñ yā chhat hai
shor machātā phirtā hai
ye dariyā kī fitrat hai
pyaar bhare is rishte kī
shesh nishānī ik ḳhat hai
jina agar zarurat hai
marna talKH haqiqat hai
sare sapne baghi hai
apni apni qismat hai
kitni ghazlen kahta hun
sab zaKHmon ki shiddat hai
itni us ki tanhai
jitni jis mein himmat hai
KHud se milne bhi aae
kis ko itni fursat hai
tanhai mein mere sath
diwaren hain ya chhat hai
shor machata phirta hai
ye dariya ki fitrat hai
pyar bhare is rishte ki
shesh nishani ek KHat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.