jina hai agar tujhko KHugar ho tamanna ka
jiinā hai agar tujh ko ḳhūgar ho tamanna kā
andāz ḳhalīlī hai maslak hai ye muusā kā
be-āb-e-tamanna dil jazbāt se aarī hai
manzar kabhī dekhā hai sūkhe hue dariyā kā
mahbūb hai mai-kash ko rindoñ kī baġhal meñ hai
lekin ye taqarrub hai baada hī se miinā kā
thā jazb-o-kashish jis meñ vo sham.a-e-tajallī thī
zaa.er koī kyūñkar ho ab vādī-e-sīnā kā
chaḌhte hue sūraj ke tevar kabhī dekhe haiñ
āġhāz hai ā.īna anjām-e-tamannā kā
islāh kī duniyā meñ us dil kā ḳhudā-hāfiz
paidā na huā jis meñ ehsās hī tauba kā
sīkhā hai 'amīñ' maiñ ne hātif se ġhazal kahnā
ye naġhma-e-jāñ-parvar hai bulbul-e-sidra kā
jina hai agar tujh ko KHugar ho tamanna ka
andaz KHalili hai maslak hai ye musa ka
be-ab-e-tamanna dil jazbaat se aari hai
manzar kabhi dekha hai sukhe hue dariya ka
mahbub hai mai-kash ko rindon ki baghal mein hai
lekin ye taqarrub hai baada hi se mina ka
tha jazb-o-kashish jis mein wo shama-e-tajalli thi
zaer koi kyunkar ho ab wadi-e-sina ka
chaDhte hue suraj ke tewar kabhi dekhe hain
aaghaz hai aaina anjam-e-tamanna ka
islah ki duniya mein us dil ka KHuda-hafiz
paida na hua jis mein ehsas hi tauba ka
sikha hai 'amin' main ne hatif se ghazal kahna
ye naghma-e-jaan-parwar hai bulbul-e-sidra ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.