jina mushkil hai yahan aasan sab se KHud-kushi
jiinā mushkil hai yahāñ āsān sab se ḳhud-kushī
is liye lagtī bhalī hai zindagī se ḳhud-kushī
ishq to ab naam hai is kā thā pahle ḳhud-kushī
ishq karne vāloñ ko miltī hai rāh-e-ḳhud-kushī
kaun detā hai kisī ko hausla yaañ jiine kā
kah rahe ik dūsre ko kar le pyāre ḳhud-kushī
ek muddat baa'd aa.e aaj vo mahfil meñ jab
zindagī thī sāmne phir kaise karte ḳhud-kushī
zindagī ke tajribe kaise mile yaañ par 'shakeb'
jo ki āḳhir ḳhud se ik din kar lī tum ne ḳhud-kushī
tan kisī ke paas hai to dil kisī ke saath meñ
sej par baiThe hue vo kar rahe haiñ ḳhud-kushī
jiine kī hasrat nahīñ rasta yā manzil bhī nahīñ
jī rahe haiñ is tarah behtar thī is se ḳhud-kushī
qatra qatra marne se ‘mādhav’ hai behtar bas yahī
sochtā huuñ maiñ lagā luuñ ab gale se ḳhud-kushī
jina mushkil hai yahan aasan sab se KHud-kushi
is liye lagti bhali hai zindagi se KHud-kushi
ishq to ab nam hai is ka tha pahle KHud-kushi
ishq karne walon ko milti hai rah-e-KHud-kushi
kaun deta hai kisi ko hausla yan jine ka
kah rahe ek dusre ko kar le pyare KHud-kushi
ek muddat ba'd aae aaj wo mahfil mein jab
zindagi thi samne phir kaise karte KHud-kushi
zindagi ke tajribe kaise mile yan par 'shakeb'
jo ki aaKHir KHud se ek din kar li tum ne KHud-kushi
tan kisi ke pas hai to dil kisi ke sath mein
sej par baiThe hue wo kar rahe hain KHud-kushi
jine ki hasrat nahin rasta ya manzil bhi nahin
ji rahe hain is tarah behtar thi is se KHud-kushi
qatra qatra marne se ‘madhaw’ hai behtar bas yahi
sochta hun main laga lun ab gale se KHud-kushi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.