jine aae hi muKHtasar ji len
jiine aa.e hī muḳhtasar jī leñ
ranj ho yā ḳhushī magar jī leñ
umr kuchh bhī ho zindagī kam hai
ġhair-mumkin hai umr-bhar jī leñ
chand yādeñ jo apnā hissa haiñ
un kī ḳhushiyoñ ko baañT kar jī leñ
bas isī meñ hai shaan jiine kī
apne apne maqām par jī leñ
un kī himmat hai jo qadam-ba-qadam
maut ke saath sar-basar jī leñ
baat jab hai ki yādgār bane
fā.eda kyā jo be-asar jī leñ
mausamoñ ko uThā ke kāñdhoñ par
kaash ham sūrat-e-shajar jī leñ
kaun sī raah se baḌheñ aage
kaun se moḌ par Thahar jī leñ
kaam ham ko diyā gayā hai yahī
giit gā kar nagar-nagar jī leñ
tum ki jī lo ḳhushī kī mahfil meñ
ham ki nākāmiyoñ ke ghar jī leñ
ḳhāna-e-jam to ujaḌtā hī hai
aap kitnā hī ban-sañvar jī leñ
ham isī aarzū pe marte haiñ
Daal de pyaar kī nazar jī leñ
jine aae hi muKHtasar ji len
ranj ho ya KHushi magar ji len
umr kuchh bhi ho zindagi kam hai
ghair-mumkin hai umr-bhar ji len
chand yaaden jo apna hissa hain
un ki KHushiyon ko banT kar ji len
bas isi mein hai shan jine ki
apne apne maqam par ji len
un ki himmat hai jo qadam-ba-qadam
maut ke sath sar-basar ji len
baat jab hai ki yaadgar bane
faeda kya jo be-asar ji len
mausamon ko uTha ke kandhon par
kash hum surat-e-shajar ji len
kaun si rah se baDhen aage
kaun se moD par Thahar ji len
kaam hum ko diya gaya hai yahi
git ga kar nagar-nagar ji len
tum ki ji lo KHushi ki mahfil mein
hum ki nakaamiyon ke ghar ji len
KHana-e-jam to ujaDta hi hai
aap kitna hi ban-sanwar ji len
hum isi aarzu pe marte hain
Dal de pyar ki nazar ji len
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.