jine ka aadmi ke tariqa badal gaya
jiine kā aadmī ke tarīqa badal gayā
duniyā samajh rahī hai zamāna badal gayā
phūloñ kā rang baaġh kā naqsha badal gayā
māhaul gird-o-pesh kā kitnā badal gayā
sūrat badal ga.ī mirā chehra badal gayā
'umr-e-ravāñ ke saath maiñ kitnā badal gayā
fāqa-kashī kā daur thā to ḳhāksār thā
daulat huī nasīb to lahja badal gayā
vo shaḳhs ajnabī thā abhī kal kī baat hai
āñkheñ huiiñ jo chaar to rishta badal gayā
jine ka aadmi ke tariqa badal gaya
duniya samajh rahi hai zamana badal gaya
phulon ka rang bagh ka naqsha badal gaya
mahaul gird-o-pesh ka kitna badal gaya
surat badal gai mera chehra badal gaya
'umr-e-rawan ke sath main kitna badal gaya
faqa-kashi ka daur tha to KHaksar tha
daulat hui nasib to lahja badal gaya
wo shaKHs ajnabi tha abhi kal ki baat hai
aankhen huin jo chaar to rishta badal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.