jine ka imkan na likhna
jiine kā imkān na likhnā
marnā bhī āsān na likhnā
rone ko tum sahl na likkho
hañsnā bhī āsān na likhnā
dhuup meñ saaya likh bargad kā
ab gautam yā gyaan na likhnā
kaun yahāñ suntā hai kisī kī
dīvāroñ ke kaan na likhnā
'jauhar' apnā naam hī likkho
tum apnī pahchān na likhnā
jine ka imkan na likhna
marna bhi aasan na likhna
rone ko tum sahl na likkho
hansna bhi aasan na likhna
dhup mein saya likh bargad ka
ab gautam ya gyan na likhna
kaun yahan sunta hai kisi ki
diwaron ke kan na likhna
'jauhar' apna nam hi likkho
tum apni pahchan na likhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.