jine ka lutf kuchh to uThao nashe mein aao
jiine kā lutf kuchh to uThāo nashe meñ aao
hañste haiñ kaise ġham meñ dikhāo nashe meñ aao
nashsha pilā ke ḳhuub mirā hāl-e-dil sunā
kuchh tum bhī dil kī baat batāo nashe meñ aao
tum hosh meñ jab aa.e to aafat hī ban ke aa.e
ab mere paas jab bhī tum aao nashe meñ aao
dil meñ ġhubār rakhnā hai tauhīn-e-mai-kashī
bas ḳhatm uTh ke haath milāo nashe meñ aao
ye zindagī kī raat hai tārīk kis qadar
donoñ siroñ pe sham.a jalāo nashe meñ aao
'vāmiq' ye dil kī pyaas bhalā yuuñ bujhegī kyā
ab aag hī se aag bujhāo nashe meñ aao
jine ka lutf kuchh to uThao nashe mein aao
hanste hain kaise gham mein dikhao nashe mein aao
nashsha pila ke KHub mera haal-e-dil suna
kuchh tum bhi dil ki baat batao nashe mein aao
tum hosh mein jab aae to aafat hi ban ke aae
ab mere pas jab bhi tum aao nashe mein aao
dil mein ghubar rakhna hai tauhin-e-mai-kashi
bas KHatm uTh ke hath milao nashe mein aao
ye zindagi ki raat hai tarik kis qadar
donon siron pe shama jalao nashe mein aao
'wamiq' ye dil ki pyas bhala yun bujhegi kya
ab aag hi se aag bujhao nashe mein aao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.