jine ka lutf zist ka hasil nahin raha
jine ka lutf zist ka hasil nahin raha
Rasool Jahan Begam Makhfi Badayuni
MORE BYRasool Jahan Begam Makhfi Badayuni
jiine kā lutf ziist kā hāsil nahīñ rahā
vo valvale nahīñ rahe vo dil nahīñ rahā
hañgāma-zār-e-shauq hai yā mahshar-e-alam
tūfān-e-iztirāb hai vo dil nahīñ rahā
saaqī kī ek hī nigah-e-iltifāt meñ
mushkil hamārā uqda-e-mushkil nahīñ rahā
yādash-ba-ḳhair hāsil-e-kaunain thā jo dil
chhuT kar kisī se ab kisī qābil nahīñ rahā
mahfil se uTh ga.e mirī hairat ke aa.ine
ab aa.ine ke koī muqābil nahīñ rahā
'maḳhfī' qazā ne raah meñ ham ko miTā diyā
andesha-e-darāzī-e-manzil nahīñ rahā
jine ka lutf zist ka hasil nahin raha
wo walwale nahin rahe wo dil nahin raha
hangama-zar-e-shauq hai ya mahshar-e-alam
tufan-e-iztirab hai wo dil nahin raha
saqi ki ek hi nigah-e-iltifat mein
mushkil hamara uqda-e-mushkil nahin raha
yaadash-ba-KHair hasil-e-kaunain tha jo dil
chhuT kar kisi se ab kisi qabil nahin raha
mahfil se uTh gae meri hairat ke aaine
ab aaine ke koi muqabil nahin raha
'maKHfi' qaza ne rah mein hum ko miTa diya
andesha-e-daraazi-e-manzil nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.