jine ka maza hai na hai marne mein sukun ab
jiine kā maza hai na hai marne meñ sukūñ ab
le jaa.e kahāñ dekhiye sahrā ko junūñ ab
ho jaa.e na ye shahr bayābāñ kabhī ik din
jalva na tire husn kā baaqī na fusūñ ab
shikva hai ġham-e-dil kā gila dahr kā thoḌā
guzrī jo shab-e-hijr meñ kaise na kahūñ ab
barbād har ik shahr-e-fasurda gul-o-ġhunche
kal jaam thā hāthoñ meñ magar sar hai nigūñ ab
le aa.uuñ na maiñ kyoñ use bātoñ meñ lagā kar
kahnā ye barahman kā hai achchhā hai shugūñ ab
suntā bhī nahīñ jab koī miltā bhī nahīñ vo
ab koī batāo mujhe kyā arz karūñ ab
vārafta huā dil ye kisī shoḳh pe jab se
shohra hai mirā shahr meñ par kyā maiñ karūñ ab
jine ka maza hai na hai marne mein sukun ab
le jae kahan dekhiye sahra ko junun ab
ho jae na ye shahr bayaban kabhi ek din
jalwa na tere husn ka baqi na fusun ab
shikwa hai gham-e-dil ka gila dahr ka thoDa
guzri jo shab-e-hijr mein kaise na kahun ab
barbaad har ek shahr-e-fasurda gul-o-ghunche
kal jam tha hathon mein magar sar hai nigun ab
le aaun na main kyon use baaton mein laga kar
kahna ye barahman ka hai achchha hai shugun ab
sunta bhi nahin jab koi milta bhi nahin wo
ab koi batao mujhe kya arz karun ab
warafta hua dil ye kisi shoKH pe jab se
shohra hai mera shahr mein par kya main karun ab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.