jine ka saman nahin
jiine kā sāmān nahīñ
dil meñ koī armān nahīñ
mere dil ke haal se vo
ġhāfil hai anjān nahīñ
tark-e-ta.alluq aur ham se
mushkil hai āsān nahīñ
pyāse ko qatre kī bhiik
ye to koī ehsān nahīñ
ġham ke bādal chhaT jaa.eñ
aise to imkān nahīñ
zahr bhī piinā paḌtā hai
haq-goī āsān nahīñ
tum hī kuchh batlāo 'salīm'
ziist kā ham ko gyaan nahīñ
jine ka saman nahin
dil mein koi arman nahin
mere dil ke haal se wo
ghafil hai anjaan nahin
tark-e-talluq aur hum se
mushkil hai aasan nahin
pyase ko qatre ki bhik
ye to koi ehsan nahin
gham ke baadal chhaT jaen
aise to imkan nahin
zahr bhi pina paDta hai
haq-goi aasan nahin
tum hi kuchh batlao 'salim'
zist ka hum ko gyan nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.