jine ka tu ne roz naya mashghala diya
jiine kā tū ne roz nayā mashġhala diyā
ik ġham haTā nahīñ ki hameñ dūsrā diyā
ye sochiye ki aap se duniyā ko kyā milā
mat sochiye ki aap ko duniyā ne kiyā diyā
har ek meñ hai pyaar kī ḳhushbū basī huī
tū ne to jo bhī zaḳhm diyā kaam kā diyā
māyūs zindagī kī thakan le ke so ga.e
uTThe to phir ḳhudā ne nayā hausla diyā
mānūs is qadar haiñ tire ġham se in dinoñ
har ik ḳhushī ko sāya-e-ġham meñ sulā diyā
ā.īna toḌ degā vo chehre ko dekh kar
mā'lūm thā to phir use kyoñ aa.ina diyā
ik shā’ir-o-adīb kī hai tum ko justujū
'āsim' kā phir batāo ye kis ne pata diyā
jine ka tu ne roz naya mashghala diya
ek gham haTa nahin ki hamein dusra diya
ye sochiye ki aap se duniya ko kya mila
mat sochiye ki aap ko duniya ne kiya diya
har ek mein hai pyar ki KHushbu basi hui
tu ne to jo bhi zaKHm diya kaam ka diya
mayus zindagi ki thakan le ke so gae
uTThe to phir KHuda ne naya hausla diya
manus is qadar hain tere gham se in dinon
har ek KHushi ko saya-e-gham mein sula diya
aaina toD dega wo chehre ko dekh kar
ma'lum tha to phir use kyon aaina diya
ek sha’ir-o-adib ki hai tum ko justuju
'asim' ka phir batao ye kis ne pata diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.