jine ke liye jine ke saman bahut hain
jiine ke liye jiine ke sāmān bahut haiñ
ye baat alag log pareshān bahut haiñ
vaise to laboñ par haiñ tabassum kī phuvāreñ
jhāñke jo koī dil meñ to tūfān bahut haiñ
ab un ke taġhāful kā gila un se kareñ kyā
sunte haiñ ki vo ḳhud hī pashemān bahut haiñ
nafrat kī havāoñ se ghirī sham'-e-mohabbat
bujh jaane ke is daur meñ imkān bahut haiñ
karte haiñ gunah rakhte haiñ ummīd-e-karam jo
vo log bhī merī tarah nādān bahut haiñ
le aa.ī hai ab ziist vahāñ par ki jahāñ se
aage ke sabhī rāste vīrān bahut haiñ
vo laakh burā hai to mujhe is se ġharaz kyā
mujh par magar us shaḳhs ke ehsān bahut haiñ
kyoñ un se bichhaḌ kar bhī jiye jaate haiñ 'gulshan'
ham aaj yahī soch ke hairān bahut haiñ
jine ke liye jine ke saman bahut hain
ye baat alag log pareshan bahut hain
waise to labon par hain tabassum ki phuwaren
jhanke jo koi dil mein to tufan bahut hain
ab un ke taghaful ka gila un se karen kya
sunte hain ki wo KHud hi pasheman bahut hain
nafrat ki hawaon se ghiri sham'-e-mohabbat
bujh jaane ke is daur mein imkan bahut hain
karte hain gunah rakhte hain ummid-e-karam jo
wo log bhi meri tarah nadan bahut hain
le aai hai ab zist wahan par ki jahan se
aage ke sabhi raste viran bahut hain
wo lakh bura hai to mujhe is se gharaz kya
mujh par magar us shaKHs ke ehsan bahut hain
kyon un se bichhaD kar bhi jiye jate hain 'gulshan'
hum aaj yahi soch ke hairan bahut hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.