jine ki koshish mein jina aa jata hai
jiine kī koshish meñ jiinā aa jaatā hai
lekin phir bhī yaar pasīna aa jaatā hai
taqdīroñ kā taalā khol na paatā koī
kuchh bhī kar lo vaqt kamīna aa jaatā hai
maiḳhāne kā rastā chāhe an-jānā ho
dard bhulāne niklo piinā aa jaatā hai
apne baare meñ apnoñ kī bāteñ sun kar
apne hoñThoñ ko bhī siinā aa jaatā hai
maiñ ne maañ ke qadmoñ meñ sar rakkhā apnā
is meñ makka aur madīna aa jaatā hai
jine ki koshish mein jina aa jata hai
lekin phir bhi yar pasina aa jata hai
taqdiron ka tala khol na pata koi
kuchh bhi kar lo waqt kamina aa jata hai
maiKHane ka rasta chahe an-jaana ho
dard bhulane niklo pina aa jata hai
apne bare mein apnon ki baaten sun kar
apne honThon ko bhi sina aa jata hai
main ne man ke qadmon mein sar rakkha apna
is mein makka aur madina aa jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.