jine ki tamanna hai na mar jaane ka gham hai
jiine kī tamanna hai na mar jaane kā ġham hai
ai shahr-e-havas ham ko idhar aane kā ġham hai
kho jaa.e koī chiiz to ġham kartī hai duniyā
ham ko to koī chiiz yahāñ paane kā ġham hai
jiitā huuñ ki martā huuñ kise fikr hai merī
lagtā hai mirā ġham kisī dīvāne kā ġham hai
dastār salāmat na rahī ġham hai isī kā
zulfoñ kā hameñ ġham hai na kuchh shāne kā ġham hai
parvāz se muñh moḌ ke utre haiñ zamīñ par
kuchh daam kā ġham hai na hameñ daane kā ġham hai
jine ki tamanna hai na mar jaane ka gham hai
ai shahr-e-hawas hum ko idhar aane ka gham hai
kho jae koi chiz to gham karti hai duniya
hum ko to koi chiz yahan pane ka gham hai
jita hun ki marta hun kise fikr hai meri
lagta hai mera gham kisi diwane ka gham hai
dastar salamat na rahi gham hai isi ka
zulfon ka hamein gham hai na kuchh shane ka gham hai
parwaz se munh moD ke utre hain zamin par
kuchh dam ka gham hai na hamein dane ka gham hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.