jine ki thi jo dil mein tamanna wo mar gai
jiine kī thī jo dil meñ tamannā vo mar ga.ī
tum kyā ga.e ki 'ishq kī duniyā bikhar ga.ī
allāh us nigāh kī tāsīr kyā kahūñ
siine ko chīrtī huī dil meñ utar ga.ī
bāb-e-qubūl pā na sakī merī ek aah
har chand laḌkhaḌātī huī dar-ba-dar ga.ī
siine pe us ne dast-e-hinā.ī jo rakh diyā
dil kī zamīn bū-e-mohabbat se bhar ga.ī
aaya na kuchh ḳhayāl tujhe sochne ke baa'd
dekhā tujhī ko ham ne jahāñ tak nazar ga.ī
kis darja haul-nāk thā manzar hayāt kā
dahshat ke maare maut mujhe dekh Dar ga.ī
'yāsir' huā ye fā.eda rone se 'ishq meñ
aañsū bahe to chehre kī rangat nikhar ga.ī
kaT hī na paa.ī ek ye zālim shab-e-firāq
sau baar ham pe aa ke qayāmat guzar ga.ī
jine ki thi jo dil mein tamanna wo mar gai
tum kya gae ki 'ishq ki duniya bikhar gai
allah us nigah ki tasir kya kahun
sine ko chirti hui dil mein utar gai
bab-e-qubul pa na saki meri ek aah
har chand laDkhaDati hui dar-ba-dar gai
sine pe us ne dast-e-hinai jo rakh diya
dil ki zamin bu-e-mohabbat se bhar gai
aaya na kuchh KHayal tujhe sochne ke ba'd
dekha tujhi ko hum ne jahan tak nazar gai
kis darja haul-nak tha manzar hayat ka
dahshat ke mare maut mujhe dekh Dar gai
'yasir' hua ye faeda rone se 'ishq mein
aansu bahe to chehre ki rangat nikhar gai
kaT hi na pai ek ye zalim shab-e-firaq
sau bar hum pe aa ke qayamat guzar gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.