jine ko diya usne sahaara bhi nahin hai
jiine ko diyā us ne sahārā bhī nahīñ hai
aur saañs kī suulī se utārā bhī nahīñ hai
maiñ roz kī roTī meñ bhulā baiThā huuñ sab ko
ab koī mujhe jaan se pyārā bhī nahīñ hai
dariyā-e-mohabbat meñ utar aa.e to dekhā
tā-hadd-e-nazar koī kinārā bhī nahīñ hai
har saañs aTaktī hai isī vahm pe lekin
us ne to mirā naam pukārā bhī nahīñ hai
mushtarka virāsat hai sabhī ahl-e-junūñ kī
mansūr kā maqtal pe ijāra bhī nahīñ hai
ab dard-e-mohabbat kī davā kaun ḳharīde
bastī meñ koī dard kā maarā bhī nahīñ hai
vo māh-jabīñ laakh hasīñ laakh javāñ ho
is shahr meñ saanī to hamārā bhī nahīñ hai
jine ko diya us ne sahaara bhi nahin hai
aur sans ki suli se utara bhi nahin hai
main roz ki roTi mein bhula baiTha hun sab ko
ab koi mujhe jaan se pyara bhi nahin hai
dariya-e-mohabbat mein utar aae to dekha
ta-hadd-e-nazar koi kinara bhi nahin hai
har sans aTakti hai isi wahm pe lekin
us ne to mera nam pukara bhi nahin hai
mushtarka wirasat hai sabhi ahl-e-junun ki
mansur ka maqtal pe ijara bhi nahin hai
ab dard-e-mohabbat ki dawa kaun KHaride
basti mein koi dard ka mara bhi nahin hai
wo mah-jabin lakh hasin lakh jawan ho
is shahr mein sani to hamara bhi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.