jine-marne ka aasra ho ja
jīne-marne kā aasrā ho jā
tū mire dard kī davā ho jā
maiñ tirī justujū meñ niklī huuñ
ik musāfir kā rāstā ho jā
yā mirā saath de musībat meñ
yā isī vaqt tū judā ho jā
hai agar rāste kā ilm tujhe
ghar meñ mat baiTh rahnumā ho jā
kisī kamzor ko sahārā de
kisī majbūr kī sadā ho jā
tū agar farz hai to puurā ho
tū agar qarz hai adā ho jā
maiñ 'kiran' huuñ tirī umīdoñ kī
ishq meñ mere mubtalā ho jā
jine-marne ka aasra ho ja
tu mere dard ki dawa ho ja
main teri justuju mein nikli hun
ek musafir ka rasta ho ja
ya mera sath de musibat mein
ya isi waqt tu juda ho ja
hai agar raste ka ilm tujhe
ghar mein mat baiTh rahnuma ho ja
kisi kamzor ko sahaara de
kisi majbur ki sada ho ja
tu agar farz hai to pura ho
tu agar qarz hai ada ho ja
main 'kiran' hun teri umidon ki
ishq mein mere mubtala ho ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.