jine pe jo uksae wo uljhan bhi nahin hai
jiine pe jo uksā.e vo uljhan bhī nahīñ hai
is shahr meñ merā koī dushman bhī nahīñ hai
sūkhe hue kuchh phuul na pighlī huī sham.eñ
allāh vo sahrā ki jo madfan bhī nahīñ hai
hamsā.e kī sūrat koī dekhe bhī to kyūñkar
dīvār vo haa.il hai ki rauzan bhī nahīñ hai
ab apnā janāza liye bāzār meñ ghūmo
jāoge kahāñ shahr meñ madfan bhī nahīñ hai
DhūñDūñ to kahāñ kho.e hue zehn ko 'afsar'
hāthoñ meñ mire soch kā dāman bhī nahīñ hai
jine pe jo uksae wo uljhan bhi nahin hai
is shahr mein mera koi dushman bhi nahin hai
sukhe hue kuchh phul na pighli hui shamen
allah wo sahra ki jo madfan bhi nahin hai
hamsae ki surat koi dekhe bhi to kyunkar
diwar wo hail hai ki rauzan bhi nahin hai
ab apna janaza liye bazar mein ghumo
jaoge kahan shahr mein madfan bhi nahin hai
DhunDun to kahan khoe hue zehn ko 'afsar'
hathon mein mere soch ka daman bhi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.