jit baKHshe jo charaghon ko hawa zindabaad
jiit baḳhshe jo charāġhoñ ko havā zindabād
us pe qurbān charāġhoñ kī ziyā zindabād
maiñ ne dushman ko mahārat pe koī daad na dī
mere andar se koī bol paḌā zindabād
us mohabbat ke payambar se taqābul kaisā
dasht sau baar jise kahtā rahā zindabād
ghar kā mālik to mire zabt pe ta.ana-zan thā
ghar kī dīvār ne par mujh se kahā zindabād
jo tire jism ke aurāq paḌhā kartī hai
rashk-e-ḳhushbū hai vo be-misl qabā zindabād
bazm-e-yārāñ meñ mire fan pe hai uñglī uTThī
phir mirī fikr pe bohtān lagā zindabād
mar gayā bhuuk se par bhiik kā luqma na liyā
marne vaale tire kirdār-o-anā zindabād
faisla merā shu.ūrī to nahīñ ho saktā
jis ko thī maat huī us ko likhā zindabād
kar le manzūr sanā-ḳhvānī-e-'kāzim' ko husain
tū bhī zinda hai tirī karb-o-balā zindabād
jit baKHshe jo charaghon ko hawa zindabaad
us pe qurban charaghon ki ziya zindabaad
main ne dushman ko mahaarat pe koi dad na di
mere andar se koi bol paDa zindabaad
us mohabbat ke payambar se taqabul kaisa
dasht sau bar jise kahta raha zindabaad
ghar ka malik to mere zabt pe tana-zan tha
ghar ki diwar ne par mujh se kaha zindabaad
jo tere jism ke auraq paDha karti hai
rashk-e-KHushbu hai wo be-misl qaba zindabaad
bazm-e-yaran mein mere fan pe hai ungli uTThi
phir meri fikr pe bohtan laga zindabaad
mar gaya bhuk se par bhik ka luqma na liya
marne wale tere kirdar-o-ana zindabaad
faisla mera shuuri to nahin ho sakta
jis ko thi mat hui us ko likha zindabaad
kar le manzur sana-KHwani-e-'kazim' ko husain
tu bhi zinda hai teri karb-o-bala zindabaad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.