jita hai sirf tere liye kaun mar ke dekh
jiitā hai sirf tere liye kaun mar ke dekh
ik roz merī jaan ye harkat bhī kar ke dekh
manzil yahīñ hai aam ke peḌoñ kī chhāñv meñ
ai shahsavār ghoḌe se nīche utar ke dekh
TuuTe paḌe haiñ kitne ujāloñ ke ustuḳhvāñ
sāya-numā añdhere ke andar utar ke dekh
phūloñ kī tañg-dāmanī kā tazkira na kar
ḳhushbū kī tarah mauj-e-sabā meñ bikhar ke dekh
tujh par khuleñge maut kī sarhad ke rāste
himmat agar hai us kī galī se guzar ke dekh
dariyā kī vus.atoñ se use nāpte nahīñ
tanhā.ī kitnī gahrī hai ik jaam bhar ke dekh
jita hai sirf tere liye kaun mar ke dekh
ek roz meri jaan ye harkat bhi kar ke dekh
manzil yahin hai aam ke peDon ki chhanw mein
ai shahsawar ghoDe se niche utar ke dekh
TuTe paDe hain kitne ujalon ke ustuKHwan
saya-numa andhere ke andar utar ke dekh
phulon ki tang-damani ka tazkira na kar
KHushbu ki tarah mauj-e-saba mein bikhar ke dekh
tujh par khulenge maut ki sarhad ke raste
himmat agar hai us ki gali se guzar ke dekh
dariya ki wusaton se use napte nahin
tanhai kitni gahri hai ek jam bhar ke dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.