jite hain tere pyar ki KHairaat se faqir
jiite haiñ tere pyaar kī ḳhairāt se faqīr
baiThe haiñ lau lagā.e tirī zaat se faqīr
tishna-labī ne phir yahāñ Dere lagā liye
haiñ dil-girafta hijr ke lamhāt se faqīr
haiñ jān-levā ziist kī ye talḳhiyāñ magar
rote nahīñ haiñ tangī-e-hālāt se faqīr
sūrat banā ke kāñch kī toḌā gayā kabhī
maġhlūb ho ga.e kabhī jazbāt se faqīr
zulm-o-sitam kī intihā kiije huzūr aap
kundan baneñge dard kī sauġhāt se faqīr
ummīd ke charāġh jalāte haiñ baam par
Darte nahīñ havāoñ ke ḳhadshāt se faqīr
furqat meñ ek umr se jalte rahe magar
ḳhush ho ga.e bas ek mulāqāt se faqīr
jām-o-subū-o-sāġhar-o-mīnā-o-mai-kada
rahte haiñ duur shahr-e-ḳhurāfāt se faqīr
vo log bhī 'fahīm' baḌe bā-kamāl haiñ
laḌte haiñ sub.h-o-shām jo sadmāt se faqīr
jite hain tere pyar ki KHairaat se faqir
baiThe hain lau lagae teri zat se faqir
tishna-labi ne phir yahan Dere laga liye
hain dil-girafta hijr ke lamhat se faqir
hain jaan-lewa zist ki ye talKHiyan magar
rote nahin hain tangi-e-haalat se faqir
surat bana ke kanch ki toDa gaya kabhi
maghlub ho gae kabhi jazbaat se faqir
zulm-o-sitam ki intiha kije huzur aap
kundan banenge dard ki saughat se faqir
ummid ke charagh jalate hain baam par
Darte nahin hawaon ke KHadshat se faqir
furqat mein ek umr se jalte rahe magar
KHush ho gae bas ek mulaqat se faqir
jam-o-subu-o-saghar-o-mina-o-mai-kada
rahte hain dur shahr-e-KHurafat se faqir
wo log bhi 'fahim' baDe ba-kamal hain
laDte hain subh-o-sham jo sadmat se faqir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.