jite hain zindagi ko baDi sadgi se hum
jiite haiñ zindagī ko baḌī sādgī se ham
Darte nahīñ ḳhudā ke 'alāva kisī se ham
kyūñkar nibāh kar leñ bhalā tīrgī se ham
jab faizyāb ho ga.e haiñ raushnī se ham
aa.egā vaqt jab bhī to kar ke dikhā.eñge
ai āsmāñ batā.eñ tujhe kyā abhī se ham
apnī anā ko bech ke daulat kamāte gar
kaise nazar milāte bhalā zindagī se ham
shikva kareñ to kaise kareñ ye batā.iye
jab dil lagā ke baiThe haiñ ik ajnabī se ham
sab se du'ā salām hai jab apnā barqarār
kyūñkar kareñ gurez batāo kisī se ham
be-bāt yūñhī raat se bigḌī hai apnī baat
rūThī hai ham se zindagī aur zindagī se ham
jab se sunā hai aaj vo tashrīf lā.eñgī
ghar ko sajā ke baiThe haiñ yāroñ tabhī se ham
'tāriq' ye apnā shauq hai ḳhidmat adab kī hai
rozī nahīñ kamāte kabhī shā'irī se ham
jite hain zindagi ko baDi sadgi se hum
Darte nahin KHuda ke 'alawa kisi se hum
kyunkar nibah kar len bhala tirgi se hum
jab faizyab ho gae hain raushni se hum
aaega waqt jab bhi to kar ke dikhaenge
ai aasman bataen tujhe kya abhi se hum
apni ana ko bech ke daulat kamate gar
kaise nazar milate bhala zindagi se hum
shikwa karen to kaise karen ye bataiye
jab dil laga ke baiThe hain ek ajnabi se hum
sab se du'a salam hai jab apna barqarar
kyunkar karen gurez batao kisi se hum
be-baat yunhi raat se bigDi hai apni baat
ruThi hai hum se zindagi aur zindagi se hum
jab se suna hai aaj wo tashrif laengi
ghar ko saja ke baiThe hain yaron tabhi se hum
'tariq' ye apna shauq hai KHidmat adab ki hai
rozi nahin kamate kabhi sha'iri se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.