jite-ji dukh sukh ke lamhe aate jate rahte hain
jīte-jī dukh sukh ke lamhe aate jaate rahte haiñ
ham to zarā sī baat pe pahroñ ashk bahāte rahte haiñ
vo apne māthe par jhūTe rog sajā kar phirte haiñ
ham apnī āñkhoñ ke jalte zaḳhm chhupāte rahte haiñ
soch se paikar kaise tarshe soch kā ant nirālā hai
ḳhaak pe baiThe āḌe-tirchhe naqsh banāte rahte haiñ
sāhil sāhil daar saje haiñ mauj mauj zanjīreñ haiñ
Dūbne vaale dariyā dariyā jashn manāte rahte haiñ
'aḳhtar' ab insāf kī āñkheñ zar kī khanak se khultī haiñ
ham pāgal haiñ lohe kī zanjīr hilāte rahte haiñ
jite-ji dukh sukh ke lamhe aate jate rahte hain
hum to zara si baat pe pahron ashk bahate rahte hain
wo apne mathe par jhuTe rog saja kar phirte hain
hum apni aankhon ke jalte zaKHm chhupate rahte hain
soch se paikar kaise tarshe soch ka ant nirala hai
KHak pe baiThe aaDe-tirchhe naqsh banate rahte hain
sahil sahil dar saje hain mauj mauj zanjiren hain
Dubne wale dariya dariya jashn manate rahte hain
'aKHtar' ab insaf ki aankhen zar ki khanak se khulti hain
hum pagal hain lohe ki zanjir hilate rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.