Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jite ji tak shama par jaisa kare parwana raqs

Lutfunnisa Imtiyaz

jite ji tak shama par jaisa kare parwana raqs

Lutfunnisa Imtiyaz

jiite tak sham.a par jaisā kare parvāna raqs

dekh tuj ko vohīñ kartā hai tirā dīvāna raqs

dair par se gar guzar ho.e sanam to kyā ajab

barhaman to kyā kareñ sab sāhab-e-but-ḳhāna raqs

'imtiyāz' us husn par ho vaise zohra mushtarī

mahfil-e-aflāk par kartīñ haiñ be-tābāna raqs

mai-kashī karne agar jaave to miinā jām-o-ḳhum

muġhbacha kyā aur fuġhāñ mil kar kare mai-ḳhāna raqs

sab janāvar aa ḳhushī meñ agar chāhe shikār

ba-had kaavī zamīñ tak kare jānāna raqs

mehr-o-mah aur anjum saare ye sab aflāk ke

yak-ba-yak apnā apnā dikhāveñ ban ke sab mastāna raqs

sair kar qasd gar jaave chaman meñ sanam

har kalī miinā ho har ġhuncha kare paimāna raqs

jite ji tak shama par jaisa kare parwana raqs

dekh tuj ko wohin karta hai tera diwana raqs

dair par se gar guzar hoe sanam to kya ajab

barhaman to kya karen sab sahab-e-but-KHana raqs

'imtiyaz' us husn par ho waise zohra mushtari

mahfil-e-aflak par kartin hain be-tabana raqs

mai-kashi karne agar jawe to mina jam-o-KHum

mughbacha kya aur fughan mil kar kare mai-KHana raqs

sab janawar aa KHushi mein tu agar chahe shikar

ta ba-had kawi zamin tak hi kare jaanana raqs

mehr-o-mah aur anjum hi sare ye sab aflak ke

yak-ba-yak apna apna dikhawen ban ke sab mastana raqs

sair ka kar qasd gar jawe chaman mein tu sanam

har kali mina ho har ghuncha kare paimana raqs

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now