jitne marka-e-dil wo lagatar gaya
jītne mārka-e-dil vo lagātār gayā
jis ghaḌī fat.h kā e'lān huā haar gayā
thak ke lauT aa.e alam-dār-e-masāvāt āḳhir
duur tak silsila-e-andak-o-bisyār gayā
jis ko sab sahl-talab jaan ke karte the gurez
ik vahī shaḳhs sū-e-manzil-e-dushvār gayā
in dinoñ zehn kī duniyā meñ hai masrūf bashar
dil kī tahzīb ga.ī dard kā bevhār gayā
ham gunahgāroñ se bā-ma.anī rahā hashr kā din
varna ye saarā hī mansūba thā bekār gayā
'sāz' hai dil-zada ab bhī tire she'roñ ke tufail
ham to samjhe the ki ai miir ye āzār gayā
jitne marka-e-dil wo lagatar gaya
jis ghaDi fath ka e'lan hua haar gaya
thak ke lauT aae alam-dar-e-masawat aaKHir
dur tak silsila-e-andak-o-bisyar gaya
jis ko sab sahl-talab jaan ke karte the gurez
ek wahi shaKHs su-e-manzil-e-dushwar gaya
in dinon zehn ki duniya mein hai masruf bashar
dil ki tahzib gai dard ka bewhaar gaya
hum gunahgaron se ba-mani raha hashr ka din
warna ye sara hi mansuba tha bekar gaya
'saz' hai dil-zada ab bhi tere she'ron ke tufail
hum to samjhe the ki ai mir ye aazar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.