jiwan ka ye khel tamasha yunhi chalta rahta hai
jīvan kā ye khel tamāshā yūñhī chaltā rahtā hai
din phirte haiñ logoñ meñ aur vaqt badaltā rahtā hai
yāroñ se ham vaqt-e-balā meñ āñkheñ pher to lete haiñ
lekin ik an-jānā sā dukh dil meñ paltā rahtā hai
nazreñ ḳhīra kar detī hai ek jhalak lailāoñ kī
aur phir insāñ puurā jīvan āñkheñ maltā rahtā hai
muft kā rog na paalo dil meñ jī ko mat halkān karo
duniyā kā har chaḌhtā sūraj āḳhir Dhaltā rahtā hai
hijr kī āñdhī aisī aa.ī sab kuchh le kar saath ga.ī
phir bhī dil meñ aas kā dīpak bujhtā jaltā rahtā hai
log chhupā.e phirte haiñ patthar kī siloñ ko sīnoñ meñ
ek hamārā dil bechāra aag ugaltā rahtā hai
jiwan ka ye khel tamasha yunhi chalta rahta hai
din phirte hain logon mein aur waqt badalta rahta hai
yaron se hum waqt-e-bala mein aankhen pher to lete hain
lekin ek an-jaana sa dukh dil mein palta rahta hai
nazren KHira kar deti hai ek jhalak lailaon ki
aur phir insan pura jiwan aankhen malta rahta hai
muft ka rog na palo dil mein ji ko mat halkan karo
duniya ka har chaDhta suraj aaKHir Dhalta rahta hai
hijr ki aandhi aisi aai sab kuchh le kar sath gai
phir bhi dil mein aas ka dipak bujhta jalta rahta hai
log chhupae phirte hain patthar ki silon ko sinon mein
ek hamara dil bechaara aag ugalta rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.