jiwan ke kai raaz batata hai jazira
jīvan ke ka.ī raaz batātā hai jazīra
shā.ir ko na.ī raah sujhātā hai jazīra
kyā daur hai ḳhud mauj lagātī hai ye tohmat
duniyā meñ bahut shor machātā hai jazīra
allāh kī taḳhlīq kā andāz to dekho
vo aab kī khetī meñ ugātā hai jazīra
jīvan kā safar dukh ke samundar meñ hai aksar
mīloñ meñ kabhī ḳhushiyoñ kā aatā hai jazīra
ho narġha-e-bātil meñ khaḌā jaise mujāhid
maujoñ meñ yūñhī sar ko uThātā hai jazīra
har shab tirī yādoñ ke samundar meñ utar kar
ik pārā-e-dil ḳhud ko banātā hai jazīra
baiThā hai hasīñ koī samundar ke kināre
uTh uTh ke jise dekhtā jaatā hai jazīra
mahbūb se jab pūchhtā huuñ ishq kā anjām
uñglī ke ishāre se dikhātā hai jazīra
ai mere 'nabīl' aap ke jaisā hī sadā se
tanhā.ī kā ġham roz uThātā hai jazīra
jiwan ke kai raaz batata hai jazira
shair ko nai rah sujhata hai jazira
kya daur hai KHud mauj lagati hai ye tohmat
duniya mein bahut shor machata hai jazira
allah ki taKHliq ka andaz to dekho
wo aab ki kheti mein ugata hai jazira
jiwan ka safar dukh ke samundar mein hai aksar
milon mein kabhi KHushiyon ka aata hai jazira
ho nargha-e-baatil mein khaDa jaise mujahid
maujon mein yunhi sar ko uThata hai jazira
har shab teri yaadon ke samundar mein utar kar
ek para-e-dil KHud ko banata hai jazira
baiTha hai hasin koi samundar ke kinare
uTh uTh ke jise dekhta jata hai jazira
mahbub se jab puchhta hun ishq ka anjam
ungli ke ishaare se dikhata hai jazira
ai mere 'nabil' aap ke jaisa hi sada se
tanhai ka gham roz uThata hai jazira
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.