jiwan ke safar mein rahi milte hain bichhaD jaane ko
jīvan ke safar meñ raahī milte haiñ bichhaḌ jaane ko
aur de jaate haiñ yādeñ tanhā.ī meñ taḌpāne ko
ye ruup kī daulat vaale kab sunte haiñ dil ke naale
taqdīr na bas meñ Daale in ke kisī dīvāne ko
jo in kī nazar se khele dukh paa.e musībat jhele
phirte haiñ ye sab albele dil le ke mukar jaane ko
dil le ke daġhā dete haiñ ik rog lagā dete haiñ
hañs-hañs ke jalā dete haiñ ye husn ke parvāne ko
ab saath na guzreñge ham lekin ye fazā rātoñ kī
dohrāyā karegī har-dam is pyaar ke afsāne ko
ro-ro ke inhīñ rāhoñ meñ khonā paḌā ik apne ko
hañs-hañs ke inhīñ rāhoñ meñ apnāyā thā begāne ko
tum apnī na.ī duniyā meñ kho jaao parā.e ban kar
jī paa.e to ham jī leñge marne kī sazā paane ko
jiwan ke safar mein rahi milte hain bichhaD jaane ko
aur de jate hain yaaden tanhai mein taDpane ko
ye rup ki daulat wale kab sunte hain dil ke nale
taqdir na bas mein Dale in ke kisi diwane ko
jo in ki nazar se khele dukh pae musibat jhele
phirte hain ye sab albele dil le ke mukar jaane ko
dil le ke dagha dete hain ek rog laga dete hain
hans-hans ke jala dete hain ye husn ke parwane ko
ab sath na guzrenge hum lekin ye faza raaton ki
dohraya karegi har-dam is pyar ke afsane ko
ro-ro ke inhin rahon mein khona paDa ek apne ko
hans-hans ke inhin rahon mein apnaya tha begane ko
tum apni nai duniya mein kho jao parae ban kar
ji pae to hum ji lenge marne ki saza pane ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.