jiwan ki phulwari rakh
jīvan kī phulvārī rakh
marne kī tayyārī rakh
āñkhoñ meñ ho bas machhlī
dil meñ duniyā saarī rakh
ḳhushiyāñ aatī jaatī haiñ
ġham se thoḌī yaarī rakh
dekho bachpan mat khonā
ghar meñ ik almārī rakh
itnā kyā āsāñ honā
kuchh chīzeñ sarkārī rakh
kuchh kahnā kuchh mat kahnā
halkī sī dushvārī rakh
aañsū ab kis ko bāñTe
hañsne kī bīmārī rakh
ġhalatī par ḳhud jhuk jaa.e
itnī to zimmedārī rakh
din bhar hai laḌnā 'pūnam'
rātoñ ko be-kārī rakh
jiwan ki phulwari rakh
marne ki tayyari rakh
aankhon mein ho bas machhli
dil mein duniya sari rakh
KHushiyan aati jati hain
gham se thoDi yari rakh
dekho bachpan mat khona
ghar mein ek almari rakh
itna kya aasan hona
kuchh chizen sarkari rakh
kuchh kahna kuchh mat kahna
halki si dushwari rakh
aansu ab kis ko banTe
hansne ki bimari rakh
ghalati par KHud jhuk jae
itni to zimmedari rakh
din bhar hai laDna 'punam'
raaton ko be-kari rakh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.