jiwan mein nuqsan ghaTaya ja sakta hai
jīvan meñ nuqsān ghaTāyā jā saktā hai
band galī se vāpas aayā jā saktā hai
dhyān meñ rahtī haiñ do chanchal sī āñkheñ
dhyān kā kyā hai dhyān baTāyā jā saktā hai
tāre-vāre to sab toḌ ke laate haiñ
aap kaheñ to chāñd bujhāyā jā saktā hai
itnī der hī dil ko Dhāras rahtī hai
jab tak un ke pīchhe saaya jā saktā hai
tark-e-ta'alluq par jab dil āmāda ho
koī bhī ilzām lagāyā jā saktā hai
faash kareñge raaz ye palkoñ ke darbāñ
kab tak dil kā haal chhupāyā jā saktā hai
jeb maiñ haiñ kuchh khoTe be-qīmat sikke
'ishq meñ kitnā daam kamāyā jā saktā hai
jiwan mein nuqsan ghaTaya ja sakta hai
band gali se wapas aaya ja sakta hai
dhyan mein rahti hain do chanchal si aankhen
dhyan ka kya hai dhyan baTaya ja sakta hai
tare-ware to sab toD ke late hain
aap kahen to chand bujhaya ja sakta hai
itni der hi dil ko Dhaaras rahti hai
jab tak un ke pichhe saya ja sakta hai
tark-e-ta'alluq par jab dil aamada ho
koi bhi ilzam lagaya ja sakta hai
fash karenge raaz ye palkon ke darban
kab tak dil ka haal chhupaya ja sakta hai
jeb main hain kuchh khoTe be-qimat sikke
'ishq mein kitna dam kamaya ja sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.