jiwan sara bech diya
jīvan saarā bech diyā
jis ne sapnā bech diyā
bhuuk lagī to saa.il ne
apnā kaasa bech diyā
baap marā to bachche ne
apnā basta bech diyā
laash bahā dī gangā meñ
aur janāza bech diyā
mustaqbil kī chāhat meñ
maazī apnā bech diyā
ek ne beche chauke bartan
ek ne chūlhā bech diyā
kal beTe ne kabāḌī ko
maañ kā chashma bech diyā
jiwan sara bech diya
jis ne sapna bech diya
bhuk lagi to sail ne
apna kasa bech diya
bap mara to bachche ne
apna basta bech diya
lash baha di ganga mein
aur janaza bech diya
mustaqbil ki chahat mein
mazi apna bech diya
ek ne beche chauke bartan
ek ne chulha bech diya
kal beTe ne kabaDi ko
man ka chashma bech diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.