Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jin baaton ko kahna mushkil hota hai

Aalok Shrivastav

jin baaton ko kahna mushkil hota hai

Aalok Shrivastav

MORE BYAalok Shrivastav

    jin bātoñ ko kahnā mushkil hotā hai

    un bātoñ ko sahnā mushkil hotā hai

    is duniyā meñ rah kar ham ne ye jaanā

    is duniyā meñ rahnā mushkil hotā hai

    jis dhārā meñ bahnā sab se āsāñ ho

    us dhārā meñ bahnā mushkil hotā hai

    us ke saath hameñ āsānī hai kitnī

    us se ye bhī kahnā mushkil hotā hai

    us ke ta.ane us ke ta.ane hote haiñ

    mushkil se bhī sahnā mushkil hotā hai

    vo sab bāteñ jo tum aksar kahtī ho

    un bātoñ sahnā mushkil hotā hai

    vo bāteñ jo kahne meñ āsān lageñ

    un bātoñ kahnā mushkil hotā hai

    maazī yādeñ bhī aisā sūraj haiñ

    jis sūraj gahnā mushkil hotā hai

    maiñ apnī duniyā aisā sūraj huuñ

    jis sūraj gahnā mushkil hotā hai

    lagtī hai ye bahr bahut āsān magar

    is meñ ġhazleñ kahnā mushkil hotā hai

    jin baaton ko kahna mushkil hota hai

    un baaton ko sahna mushkil hota hai

    is duniya mein rah kar hum ne ye jaana

    is duniya mein rahna mushkil hota hai

    jis dhaara mein bahna sab se aasan ho

    us dhaara mein bahna mushkil hota hai

    us ke sath hamein aasani hai kitni

    us se ye bhi kahna mushkil hota hai

    us ke tane us ke tane hote hain

    mushkil se bhi sahna mushkil hota hai

    wo sab baaten jo tum aksar kahti ho

    un baaton ka sahna mushkil hota hai

    wo baaten jo kahne mein aasan lagen

    un baaton ka kahna mushkil hota hai

    mazi ki yaaden bhi aisa suraj hain

    jis suraj ka gahna mushkil hota hai

    main apni duniya ka aisa suraj hun

    jis suraj ka gahna mushkil hota hai

    lagti hai ye bahr bahut aasan magar

    is mein ghazlen kahna mushkil hota hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now