jin dinon dil se teri yaad juDi rahti thi
jin dinoñ dil se tirī yaad juḌī rahtī thī
merī har raat sitāroñ se bharī rahtī thī
ek saaya bhī bhaTaktā thā galī meñ shab bhar
ek khiḌkī bhī bahut der khulī rahtī thī
baa'd meñ 'ishq ne rasta bhī dikhāyā ham ko
avval avval baḌī be-rāh-ravī rahtī thī
jin dinoñ sabr kī talqīn pe likhtā thā maiñ
ek buḌhiyā mirī chaukhaT pe khaḌī rahtī thī
yaad hai aaj bhī vo milnā-milānā apnā
merī jholī tire phūloñ se bharī rahtī thī
khiḌkiyāñ khol diiñ ik roz tirī yādoñ kī
baḌī sunsān 'asar' dil kī galī rahtī thī
jin dinon dil se teri yaad juDi rahti thi
meri har raat sitaron se bhari rahti thi
ek saya bhi bhaTakta tha gali mein shab bhar
ek khiDki bhi bahut der khuli rahti thi
ba'd mein 'ishq ne rasta bhi dikhaya hum ko
awwal awwal baDi be-rah-rawi rahti thi
jin dinon sabr ki talqin pe likhta tha main
ek buDhiya meri chaukhaT pe khaDi rahti thi
yaad hai aaj bhi wo milna-milana apna
meri jholi tere phulon se bhari rahti thi
khiDkiyan khol din ek roz teri yaadon ki
baDi sunsan 'asar' dil ki gali rahti thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.