jin dinon lafzon mein aks-e-surKHi-e-ruKHsar tha
jin dinoñ lafzoñ meñ aks-e-surḳhī-e-ruḳhsār thā
merī taḳhlīqāt kā har naqsh ik shahkār thā
dil tujhe pā kar bhī terī justujū kartā rahā
tere dīvāne ko jaane tujh se kaisā pyaar thā
kyuuñ samajhtā ḳhud ko tanhā zindagī ke dasht meñ
aap hī meñ kārvāñ thā aap hī sālār thā
jazba-o-ehsās mere ham-safar the dosto
zindagī kā rāsta kaise kahūñ dushvār thā
kaise maiñ bāhar nikaltā ab ke mela dekhne
mere andar jab lagā ik dard kā tyauhār thā
kis jagah kis daur meñ yūsuf nahīñ bikte rahe
misr ke bāzār se kam kaun sā bāzār thā
yuuñ to dīvāreñ bahut thiiñ shahr meñ 'shāhid' magar
sar pe yuuñ sūraj thā anqā sāya-e-dīvār thā
jin dinon lafzon mein aks-e-surKHi-e-ruKHsar tha
meri taKHliqat ka har naqsh ek shahkar tha
dil tujhe pa kar bhi teri justuju karta raha
tere diwane ko jaane tujh se kaisa pyar tha
kyun samajhta KHud ko tanha zindagi ke dasht mein
aap hi mein karwan tha aap hi salar tha
jazba-o-ehsas mere ham-safar the dosto
zindagi ka rasta kaise kahun dushwar tha
kaise main bahar nikalta ab ke mela dekhne
mere andar jab laga ek dard ka tyauhaar tha
kis jagah kis daur mein yusuf nahin bikte rahe
misr ke bazar se kam kaun sa bazar tha
yun to diwaren bahut thin shahr mein 'shahid' magar
sar pe yun suraj tha anqa saya-e-diwar tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.