jin ka kirdar sahifon ki tarah hota hai
jin kā kirdār sahīfoñ kī tarah hotā hai
tazkira un kā hadīsoñ kī tarah hotā hai
shab-e-furqat tirī āñkhoñ se chhalaktā huā dard
phuul par os ke qatroñ kī tarah hotā hai
vādī-e-fikr meñ bikhrā huā harfoñ kā vajūd
dast-e-qirtās pe chhāloñ kī tarah hotā hai
rūThnā aur machalnā kabhī gum-sum rahnā
aadmī ishq meñ bachchoñ kī tarah hotā hai
TūTtī rātoñ kā bikhrā huā sannāTā bhī
dasht meñ uḌte bagūloñ kī tarah hotā hai
jin ka kirdar sahifon ki tarah hota hai
tazkira un ka hadison ki tarah hota hai
shab-e-furqat teri aankhon se chhalakta hua dard
phul par os ke qatron ki tarah hota hai
wadi-e-fikr mein bikhra hua harfon ka wajud
dast-e-qirtas pe chhaalon ki tarah hota hai
ruThna aur machalna kabhi gum-sum rahna
aadmi ishq mein bachchon ki tarah hota hai
TuTti raaton ka bikhra hua sannaTa bhi
dasht mein uDte bagulon ki tarah hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.