jin ka shu’ur-e-umr hai bas ek raat ka
jin kā shu’ūr-e-umr hai bas ek raat kā
naqsha uThā.e phirte haiñ vo kā.enāt kā
koī dilāsa ġham na ġhalat kar sakā mirā
maiñ farq jāntā thā namak aur dhaat kā
terī basārateñ mirī vus'at se chhoTī haiñ
maiñ āḳhirī kināra huuñ is kā.enāt kā
apne liye fazā.eñ alag DhūñDhtā huuñ maiñ
mujh ko yaqīñ nahīñ hai tire mo'jizāt kā
kaun-o-makāñ meñ phailī huī hai mirī mahak
khiltā huā gulāb huuñ maiñ us ke haat kā
ye kā.enāt jis kī chamak se chamak uThī
vo ek buuñd paanī thā paanī bhī raat kā
jin ka shu’ur-e-umr hai bas ek raat ka
naqsha uThae phirte hain wo kaenat ka
koi dilasa gham na ghalat kar saka mera
main farq jaanta tha namak aur dhat ka
teri basaraten meri wus'at se chhoTi hain
main aaKHiri kinara hun is kaenat ka
apne liye fazaen alag DhunDhta hun main
mujh ko yaqin nahin hai tere mo'jizat ka
kaun-o-makan mein phaili hui hai meri mahak
khilta hua gulab hun main us ke hat ka
ye kaenat jis ki chamak se chamak uThi
wo ek bund pani tha pani bhi raat ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.