Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jin ke andar charagh jalte hain

Suryabhanu Gupt

jin ke andar charagh jalte hain

Suryabhanu Gupt

MORE BYSuryabhanu Gupt

    jin ke andar charāġh jalte haiñ

    ghar se bāhar vahī nikalte haiñ

    barf girtī hai jin ilāqoñ meñ

    dhuup ke kārobār chalte haiñ

    aisī kaa.ī hai ab makānoñ par

    dhuup ke paañv bhī phisalte haiñ

    bastiyoñ shikār hotā hai

    peḌ jab kursiyoñ meñ Dhalte haiñ

    ḳhud-rasī umr bhar bhaTaktī hai

    log itne pate badalte haiñ

    ham to sūraj haiñ sard mulkoñ ke

    muuD hotā hai tab nikalte haiñ

    jin ke andar charagh jalte hain

    ghar se bahar wahi nikalte hain

    barf girti hai jin ilaqon mein

    dhup ke karobar chalte hain

    aisi kai hai ab makanon par

    dhup ke panw bhi phisalte hain

    bastiyon ka shikar hota hai

    peD jab kursiyon mein Dhalte hain

    KHud-rasi umr bhar bhaTakti hai

    log itne pate badalte hain

    hum to suraj hain sard mulkon ke

    muD hota hai tab nikalte hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now