jin ke hathon mein kabhi shisha tha patthar dekha
jin ke hāthoñ meñ kabhī shīsha thā patthar dekhā
vaqt kā kaisā ye badlā huā manzar dekhā
dekh kar mujh ko to muñh pher liyā karte the
aaj kyā baat hai tum ne mujhe hañs kar dekhā
jal gayā naḳhl-e-anā ḳhaak huī shāḳh-e-zamīr
chehra-e-gul ne ajab dhuup kā manzar dekhā
mere aslāf ne ehsān kiye the jin par
maiñ ne un ko bhī harīfoñ ke barābar dekhā
ham-safar jin ko samajhte the unheñ ham ne 'alīm'
āstīnoñ meñ chhupā.e hue ḳhanjar dekhā
jin ke hathon mein kabhi shisha tha patthar dekha
waqt ka kaisa ye badla hua manzar dekha
dekh kar mujh ko to munh pher liya karte the
aaj kya baat hai tum ne mujhe hans kar dekha
jal gaya naKHl-e-ana KHak hui shaKH-e-zamir
chehra-e-gul ne ajab dhup ka manzar dekha
mere aslaf ne ehsan kiye the jin par
main ne un ko bhi harifon ke barabar dekha
ham-safar jin ko samajhte the unhen hum ne 'alim'
aastinon mein chhupae hue KHanjar dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.