jin ke panw bhi nahin hain un ko sar kahte hain log
jin ke paañv bhī nahīñ haiñ un ko sar kahte haiñ log
kyā zamāna hai ki paudoñ ko shajar kahte haiñ log
ek aañsū bhī na Tapkā aaj tak jis aañkh se
kyā qayāmat hai usī ko chashm-e-tar kahte haiñ log
ab zamāne kī kasauTī kā yahī me.aar hai
siip se niklā nahīñ phir bhī guhar kahte haiñ log
maslahat kī beḌiyoñ meñ jab se jakḌī hai zabāñ
ham nazar vāloñ ko aksar kam nazar kahte haiñ log
is liye har aañkh se ab niiñd ruḳhsat ho ga.ī
din kī nākāmī kā qissa raat bhar kahte haiñ log
kyā zamāna aa gayā hai pur-sukūñ lahje meñ ab
chaar din kī chāñdnī ko ham-safar kahte haiñ log
jis kī sūrat dekh kar kuchh log pāgal ho ga.e
kuchh na kuchh ham par bhī us kā hai asar kahte haiñ log
farq kyā paḌtā hai is se 'tashna' terī zaat par
kahne de jal kar tujhe kuchh bhī agar kahte haiñ log
jin ke panw bhi nahin hain un ko sar kahte hain log
kya zamana hai ki paudon ko shajar kahte hain log
ek aansu bhi na Tapka aaj tak jis aankh se
kya qayamat hai usi ko chashm-e-tar kahte hain log
ab zamane ki kasauTi ka yahi mear hai
sip se nikla nahin phir bhi guhar kahte hain log
maslahat ki beDiyon mein jab se jakDi hai zaban
hum nazar walon ko aksar kam nazar kahte hain log
is liye har aankh se ab nind ruKHsat ho gai
din ki nakaami ka qissa raat bhar kahte hain log
kya zamana aa gaya hai pur-sukun lahje mein ab
chaar din ki chandni ko ham-safar kahte hain log
jis ki surat dekh kar kuchh log pagal ho gae
kuchh na kuchh hum par bhi us ka hai asar kahte hain log
farq kya paDta hai is se 'tashna' teri zat par
kahne de jal kar tujhe kuchh bhi agar kahte hain log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.