jin ke qabze mein pal nahin hote
jin ke qabze meñ pal nahīñ hote
un ke hisse meñ kal nahīñ hote
pheñk de haath se ye talvāreñ
mas.ale aise hal nahīñ hote
soch kar thak chukā har ek ġharīb
jhopḌe kyoñ mahal nahīñ hote
zahr hotā hai us ke siine meñ
jis ke māthe pe bal nahīñ hote
Thokaroñ se vafā zarūrī hai
rāste ye saral nahīñ hote
jin ke qabze mein pal nahin hote
un ke hisse mein kal nahin hote
phenk de hath se ye talwaren
masale aise hal nahin hote
soch kar thak chuka har ek gharib
jhopDe kyon mahal nahin hote
zahr hota hai us ke sine mein
jis ke mathe pe bal nahin hote
Thokaron se wafa zaruri hai
raste ye saral nahin hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.