jin ke teri nazar mein parastar log hain
jin ke tirī nazar meñ parastār log haiñ
mere liye vo shahr ke be-kār log haiñ
āñkhoñ kā surḳh rañg nishānī hai mere dost
dekho qarīb aa ke vafādār log haiñ
ilzām de rahe ho be-sabab miyāñ
hālāñki vo to sāhab-e-kirdār log haiñ
ab na ḳhudārā sauñpnā ham ko mohabbateñ
ham apne hī vajūd se bezār log haiñ
anvar kabīr safdar-o-jāfar ye chand ek
shahr-e-suḳhan ke dekhiye shahkār log haiñ
jin ke teri nazar mein parastar log hain
mere liye wo shahr ke be-kar log hain
aankhon ka surKH rang nishani hai mere dost
dekho qarib aa ke wafadar log hain
ilzam de rahe ho be-sabab miyan
haalanki wo to sahab-e-kirdar log hain
ab na KHudara saunpna hum ko mohabbaten
hum apne hi wajud se bezar log hain
anwar kabir safdar-o-jafar ye chand ek
shahr-e-suKHan ke dekhiye shahkar log hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.