jin KHwahishon ko dekhti rahti thi KHwab mein
jin ḳhvāhishoñ ko dekhtī rahtī thī ḳhvāb meñ
ab likh rahī huuñ un ko haqīqat ke baab meñ
ik jhiil ke kināre parindoñ ke darmiyāñ
sūraj ko hote dekhā thā tahlīl aab meñ
ḳhvāboñ pe iḳhtiyār na yādoñ pe zor hai
kab zindagī guzārī hai apne hisāb meñ
ik haath us kā jaal pe patvār ek meñ
aur Dūbtā vajūd mirā sail-e-āb meñ
purvā.ī chal ke aur bhī vahshat baḌhā ga.ī
halkī sī aa ga.ī thī kamī iztirāb meñ
āzād haiñ to baaġh kā mausam hī aur hai
ḳhushbū hai tez rañg bhī gahrā gulāb meñ
apnī zamīñ kī āb-o-havā raas hai mujhe
mere liye kashish nahīñ koī sarāb meñ
dekho junūñ meñ un ke khilaune na toḌnā
tum ko raqam kareñge ye bachche kitāb meñ
jin KHwahishon ko dekhti rahti thi KHwab mein
ab likh rahi hun un ko haqiqat ke bab mein
ek jhil ke kinare parindon ke darmiyan
suraj ko hote dekha tha tahlil aab mein
KHwabon pe iKHtiyar na yaadon pe zor hai
kab zindagi guzari hai apne hisab mein
ek hath us ka jal pe patwar ek mein
aur Dubta wajud mera sail-e-ab mein
purwai chal ke aur bhi wahshat baDha gai
halki si aa gai thi kami iztirab mein
aazad hain to bagh ka mausam hi aur hai
KHushbu hai tez rang bhi gahra gulab mein
apni zamin ki aab-o-hawa ras hai mujhe
mere liye kashish nahin koi sarab mein
dekho junun mein un ke khilaune na toDna
tum ko raqam karenge ye bachche kitab mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.