jin ki aankhon mein tere KHwab hua karte hain
jin kī āñkhoñ meñ tire ḳhvāb huā karte haiñ
vo tirī diid se sairāb huā karte haiñ
niiñd bhī lāzmī hai dīda-e-hairat ke liye
ḳhvāb yuuñ hī to nahīñ ḳhvāb huā karte haiñ
kuchh kī āñkhoñ meñ bhī jal uThte haiñ hasrat ke charāġh
aur kuchh chehre bhī mahtāb huā karte haiñ
kuchh takalluf bhī zarūrī hai mohabbat ke liye
kuchh mohabbat ke bhī ādāb huā karte haiñ
ishq khātā hai qasam jin kī vo āshiq haiñ ham
ya.anī ham jaise to kamyāb huā karte haiñ
chāhte haiñ jo tujhe un kī mohabbat 'āqib'
tujh se mansūb jo alqāb huā karte haiñ
jin ki aankhon mein tere KHwab hua karte hain
wo teri did se sairab hua karte hain
nind bhi lazmi hai dida-e-hairat ke liye
KHwab yun hi to nahin KHwab hua karte hain
kuchh ki aankhon mein bhi jal uThte hain hasrat ke charagh
aur kuchh chehre bhi mahtab hua karte hain
kuchh takalluf bhi zaruri hai mohabbat ke liye
kuchh mohabbat ke bhi aadab hua karte hain
ishq khata hai qasam jin ki wo aashiq hain hum
yani hum jaise to kamyab hua karte hain
chahte hain jo tujhe un ki mohabbat 'aqib'
tujh se mansub jo alqab hua karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.