jin ki bhi mang rihai ki hai
jin kī bhī maañg rihā.ī kī hai
us ne bas un se laḌā.ī kī hai
paḌhte hoñge tujhe baaqī sab log
ham ne to terī paḌhā.ī kī hai
der se āñkhoñ meñ paanī hai khaḌā
ik jamā’at yahāñ kaa.ī kī hai
bilkul achchhī na lagī baat hameñ
yā'nī baat apnī bhalā.ī kī hai
chhoḌo jhagḌe ki hai ab dīvālī
ye ghaḌī ghar kī safā.ī kī hai
jin ki bhi mang rihai ki hai
us ne bas un se laDai ki hai
paDhte honge tujhe baqi sab log
hum ne to teri paDhai ki hai
der se aankhon mein pani hai khaDa
ek jama’at yahan kai ki hai
bilkul achchhi na lagi baat hamein
ya'ni baat apni bhalai ki hai
chhoDo jhagDe ki hai ab diwali
ye ghaDi ghar ki safai ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.